Tuesday, March 29, 2011

MSN Team - NON WO

NON - WO Team : ye vo log the jo hum logo ki sabse zada help bhi karte the or sabse zada chillate bhi the..

(ismein the : vara,cirugu,sagbab,sagarjit,sapenu, viband, krishna,parseem,benzir,naveen,vibotl,namita,madhuri ,garaja,sapeta,mallika arjun..or bhi the bahut saare...
itna dimaag khaya hai hum logo ne in sabka ki bata nhi sakti..or kuch log itne acche the ki kabhi bhi kuch bhi nhi bolte the..)

Vara(Mr.Humble)..sagbab(Mr.Confident) ke saath sabse phele kaam kiya tha maine..vara jis se doubts puch puch kar pareshan kar rakha tha or sagbab jiski baat agar ek baar mein na suno to use ek min mein gussa aa jata tha..if u dont trust me then why r u asking from  me..
ma i am saying this na..just do it ..his favorite line...
or vara hamesha kuch alag hi tips dete the..kuch intelligent baatein jo shayd starting mein mujhe smjh nhi aayi thi par haan baad mein smjh aa gayi thi  ;)

Mr.Kewl(sapenu)...vese inhe to mein Mr.Stylish bhi bol sakti hun..kabhi bhi style marne se time nhi milta tha..trust me jab 1st time is se milli thi to laga tha delhi jaisa attitude yahan kisi mein agar hai to vo sirf sapenu mein hi hai....hum sab mein se half logo ke according phela comment  sapenu ke liye tha :
pta nhi kya smjhta hai apne aap ko shyad moc ka hero...hehhe
heheh..but.baad mein sabke thoughts badal gaye the...he was actually very chilled out person and truly Adorable :):)(and thats the reason he was my 2nd most favorite from the NON -WO team)


Garaja bhgvan kya bolun mein ..he was the Mr.QOS/Process of the MOC..agar koi bhi galti ho jaye na phir to bas..he used to explain each and everything from the begining..then his favortie line
:i hope shweta next time you will not do this mistake otherwise i'll give u a QOS..
hehhe pta nhi garaja ko is word se kya facination thi har waqt sabko qos dene ki baat hi karta tha..hum ho ,old GET's ho NON WO or WO ..koi bhi team ho koi phirk nhi padta...
arguments karne mein bhi alag hi maza aata tha garja ko or sabse maze ki baat ye thi ki team ke baaki log bhi full try karte the argument karne ke liye..vo bhi koi chance nhi chodte the kuch bolne mein jasie ki garaja kabhi koi chance nhi chodta tha manger ko mail karne mein or QOS dene mein...hehheh
but phir bhi aisa nhi tha ki he was not a good person..he was..bas ek choti si problem thi he was very much process oriented kuch zada hi jo shyad kisi ko bhi itni pasand nhi thi..baaki sab mast tha...garaja was aslo fun loving person...
sabse hi hello...kabhi kabhi to satawli or mere saath mazak bhi karta tha...or ye dekh kar sab suprise bhi hote the..;)

mujhe aaj bhi yaad hai agar jab bhi MOM HB ke saath koi bhi problem hoti thi use dekhne ki responsibilty sirf vara,sagbab,praseem ki hi thi....maine pta nhi kitni baar is baat ke liye pareshan kiya tha in 3 logo ko...


Mr. Perfects(viband or praseem,benzir,sagarjit) to shyad kabhi bhi kabhi kisi baat ke liye mana karte hi nhi the..koi bhi problem kyu na ho ..they always used to say just chillax shweta..give this thing to me..i'll take care..
and luckily kaafi  kaam bhi kiya hai maine inke saath..


Miss Event organiser's(Namita or madhuri)..dono hi bahut sweet thi..in dono ka favourite time pass ..next event ki preparations karna office mein...roz ek naya game..or har friday ek event ..hehehe..saare HR masti in do ke paas hi thi..or in do ki vajah se hi bahut saare event mein team ne maze kiye the..sahi mein..


Mr.Funtoosh(Krishna,cirugu or mallik) ko to bas bhgvan kitna leg pulling karne mein maza aata tha..mein office mein enter nhi karti thi or ye log shru ho jaate the..but 3 ke 3 bahut mast the...krishna ka agar bas chalta to vo kabhi bhi kisi ko bhi chup nhi rehne deta team mein..itni baatein karta tha..bahut zada..trust me mujh se bhi zada


Mr.Nice(sapeta,naveen,vibotl)..ye vo kuch log the jinke saath zada kaam nhi kiya maine but thoda bahut jo bhi kiya achha tha..:)


but bahut hi sahi time chala gaya ye sab hasi mazak karte karte or mujhe kahin pta bhi nhi chala 1 saal kab ho gaya hyderabad mein  ...:):):)

MSN Team - OLD GET's

MSN Team a.k a. MOC/SOC..heheh...koi bhi naam le sakte hain..par rahegi to ultimate team hi na..
kya kahun iske baarein sare ke sare log ek dusre se itne alag..or upar se itne saare groups
apne immediate seniors se start karti hun........
MALLU group:OLD GET's..pta nhi hum GET's ka kya naam rakha hoga in logo ne par humne to yahi rakha tha :D
(Hmm ..ismein the : mitsun,asta,nidhya,indusa,puzaak,nasreen,rovaru .........7 alag alag rang the ek dum
mistsun jo sara time apni hi tareef karta rehta tha
asta pta nhi kitna zaldi zaldi bolti thi malayalam  mein
indusa jo pta hi nhi chalta the kab hasti thi roti thi...
puzaak..jise kisi se koi matlab nhi tha..apni duniya mein mast thi vo
nasreen..smilling beauty..hamesha muskurati hi rehti thi
rovaru...mujhe to kabhi pta nhi chalta tha jab ye kuch bolta tha,..itna dheere ki kya bataun..
nidhy..kaafi achhi hindi thi iski..bahut tips diye mujhe isne ye karna shweta..ye mat karna...ye hum logo ki teacher thi we used to tease her lot with this name..
ek alag hi setting thi in logo ki..or common thi in sab ke beech ek language..malayalam :) )


rovaru or nidhy ke saath sabse phele kaam kiya tha maine..kaafi cool se the ye dono bahut saari tips bhi di thi nidhy ne toh..rovaru se chit chat bas chalti hi rehti thi..routing mein jab bhi kuch problem hoti thi to ise hi pareshan karti thi mein..


mitsun or nasreen..hmm..jab ye dono hote the saath to kabhi ye nhi lagta tha ki kaam kuch zada bhi hai..mitsun ko time nhi milta tha kabhi flirting se or nasreen ke saath heheh bahut saare make up classes ke video's dekhe the maine ...
inki vajah se ek or frnd milla tha mujhe Mr.A.P...


indusa or puzaak..inke saath to bahut hi sahi frndhsip ho gayi thi hum logo ki..bahut pareshan karti thi mein indusa ko apne mood swings se..puzaak ke saath bahut easy tha kaam karna..indusa or mein or gossips...office mein proposals,affairs..or etc etc..pta nhi kya kya..bas ek mast si setting thi in dono ke saath


ye vo group tha jise hamesha yahi lagta tha ki they are the best!!!!! or MOC ka kaam bahut achi tarah se in logo ne dekh rakha tha or koi or nhi tha jo ye kar to sakta tha par itna achha nhi kar sakta tha..and i totaly agree..:):) after all baat sahi bhi thi ..


ye nhi tha ki hum logo ka group is group ke saath best and best frnds tha par phir bhi bahut maze kiye hum logo ne...:):)

Wednesday, March 23, 2011

Hi Pri

agar iski baat nhi ki to kahani adhuri hi lage gi
ye sawal to mere appraisal tak mein puchha tha kishmish ne :why shweta?why ?why you have not tried this thing in MOC?
or mere pass hamesha ki tarah koi answer nhi tha uff!!! par iska matlab ye nhi ki maine reply nhi kiya after all ..hehe kuch aisa reply kiya ki sab kuch kishmish par hi daal diya..bol sakti hun ek saal mein shyad ye phela reply hoga jo bahut smartly diya tha kishmish ko or vo bhi bina soche smjhe within 1 min...

is hi pri ki training hum 8 logo mein se kuch 3-4 logo ko milli thi..or di bhi kishmish ne khud thi
or mera naam kisi bhi aise kaam mein na ho jo mein karna nhi chahti ye ho hi nhi sakta..jis baat se mein door rehna chahti hun vo mere saamne hoti hai hamesha shyad sabke saath hi aisa hota hai ..pta nhi par mere saath to hota hai... :D..kuch log the jo kitne khush the..is baat se..jinka naam nhi tha is training ke liye..jaise satwali or kuchhu..hum 4 mein se sirf 2 ka hi naam tha mera or Mini ka..:(:( jab ye list aayi thi tab kitni leg pulling hui thi meri PG mein...:(
or mujhe kitna gussa aaya tha ye bhi nhi bata sakti...

is training ke baad sush mam ne ek exam bhi liya tha...wow kya exam tha..mein kya bataun uske baarein mein Rahul or sharma kabhi nhi bhool sakte vo exam....theek thaak comments mil hi gaye the sush mam se par phir bhi mein ek hi baat par thi mujhe nhi leni hi pri.. :( koi kuch bhi kar le..nhi karni to nhi karni...
sabse bahut shikyat bhi ki
na hi meri english acchi hai
na hi mein client se direct baat kar sakti hun or client bhi kaun tha MICROSOFT..vo Ek naam jiski vajah se aaj mein hyderabad mein thi
yahan tak ki mein hollywood films bhi nhi dekhti...mujhe kuch smjh nhi aane vaala jab vo kuch bolnege...hehhe..
Or Mr.Sahoo..is par bhi koi tension ki baat nhi hai hun sabko ab movies bhi dhikhana shru karenge training mein..:(
ye bhi koi answer tha..mein bhag rahi thi is cheez se or vo the ki hum sab ko motivate kar rahe the..koi tension hai hi nhi ....you guys are so intelligent i know you can handle anything...ufff!!!!

kishmish ,sush mam ne kitna motivate kiya..arey haan ek ka naam lena to bhool gayi gahava jis ne to baad mein bhi kitna pareshan kiya mujhe shweta try this ...or mein hamesha hi mein kya paagle hun...
mana jeene ka shauk nhi hai mujhe par marne ki itni jaldi bhi nhi hai :D
jo bhi kaho kisi ne kuch bhi bola ho par mein hi pri ko cancel kar chuki thi..or luckily apne HI PRI (sharma) ne ye kaam sambhal liya tha or mein bachh gayi thi sahi mein..is baat ke liye to mein aaj bhi use thanks karti hun..:):)

aisa nhi tha ki mein kar nhi sakti thi..bas karna nhi chahti thi..isliye itne saare excuses de rahi thi..or agar sach mein koi mujhe de hi deta ye kaam to shyad maine kar bhi liya hota...mein kabhi bhi koi kaam tab tak karti hi nhi jab tak vo mere sar par na aa jaye...to phir Hi Pri ke liye kuch alag kaise ho sakta tha.. :)

Sunday, March 20, 2011

Ek Haan -Part 2

hmm..bol to diya tha ki bata dungi par bata kya dungi..kash kuch mujhe bhi pta hota ki batana kya hai.. ek baar phir  heroine ban kar vapasa aa gayai thi par pta kuch nhi tha..
mom,dad ko pareshan karne ka koi benefit tha nhi..yeah sach bolun to unhe pareshan mein karna hi nhi chhahti thi isliye kuch baat ki hi nhi is topic par..bas ye baat sirf 8 logo ke beech hi huyi..jis mein se kuch ka kehna kuch tha or kuch ka kuch..or mein ek baar phir yahi soch rahi thi ki sahi kya hai or galat kya hai..
jab koi bolta ye sahi hai to mujhe lagta haan yahi sahi hai
jab koi bolta ye theek nhi hai to mujhe lagta haan ye to galat hi hai..khud bhi calculations kar rahi thi aisa nhi hai ki khud ka dimaag use hi nhi kar rahi thi..par is haan naa mein bahut confusion tha..
kahin mein soch rahi thi theek hai sab ab kuch nhi..jo hoga dekha jayega..hamesha ki tarah meri bahut purani adat..
par sabne bola ki nhi ..okay to maine bhi yahi soch ki nhi ..mujhe bhi sabke saath hi kuch kar lena chaihiye after all ye sab kya paagle hai or mein kuch zada intelligent..
but kehte hain na hota vahi hai jo hona hota hai..at the end kuch nhi..
sab theek ho chuka tha mujhe aj bhi yaad hai vo group chat
PH or hum 8 log
vo out of india the or hum Hyderabad mein isliye  chat ke alawa koi or option nhi tha baat karne ka..
PH :hows going guys?
others: all is good...hows u ?when u r coming back?
PH:very soon...so u all enjoying the work??
others :yeah all good now we are learning this that..etc etc..
PH: so what all u have decided?all good from ur side
me: option nhi hai or kuch all is good...(pta nhi mein itni rude kyu hun...ek hi line likhi thi us chat mein or vo bhi ye...heheh)
others :(baaki sab mujhe rookte huye kya hua tujhe kya likhe ja rahi hai..let him come then we will talk..
me: kya ??abhi kya kuch galat likha hai..jhoot mein bolti nhi
others :madam hum sab bhi nhi bolte...
me:mein chup ho gayi..uske baad phir kuch bhi nhi likha..

chalo finally intezaar khatam hua..jaakar humne ek baar baat ki..apne apne answers diye...
PH: give me the reasons...and then we will decide
me:(in mind)bhgvan ab mujhe koi baat nhi karni hai final
hum sab aa gaye meeting room se...kuch nhi sabne bola ye likh dete hai vo likh dete hain ..par kahin mujhe kuch nhi laga tha..
ye shyad 1st time the jab PH ne itna rudely baat ki thi or ye 1st time tha jab mujhe unse sahi mein dar laga tha..i was scared... :D

par kuch nhi..kisi ne kuch nhi likha or hum sab ne ek haan kar di thi bina kuch bole
or mera ye 2nd decision tha meri lyf ka jo maine khud liya tha... sahi galat pta nhi tha tab..par ab mein sochna nhi chahti thi..kuch karna nhi chahti thi...:):)
or PH (project head koi aur nhi ..Mr.Sahoo..successful ho gaye the hum sab ko kahin na kahin convince karne mein :) ...ya hum sab khud hi ready ho gaye the..or hum sab ne EK HAAN  kar di thi)

Thursday, March 17, 2011

Ek haan - Part 1

1st party ho gayi thi..
saari meetings over ho gayi thi
or hum log kaam karne bhi lage the
team mein chahe vo rahul the yeah koi aur..afzal,chikoti,rajan,paraka,vara,cirugu,ghava,mitsun,nidhy, nasreen,asta,rovaru..kaun nhi tha jise hum logo ne pareshan nhi kar rakha tha..
hum mein se koi kuch soch bhi nhi raha tha..yeah abhi bhi kuch the jo kuch soch rahe the..atleast kuch to the
aur abhi bhi shyad kahin kuch tha jo abhi bhi irritate kar raha tha..ab pareshan kar raha tha to ek meeting to banti hai na..phir kya tha ek aur meeting hui..phir se ek baar issue raise kiya gaya..ye last time the jab is topic par baat ho rahi thi...us meeting room mein maine ek shabd bhi nhi bola tha.. 
abhi tak kahin na kahin khud se hi sawal jawab kar rahi thi..itna kuch jaanti to thi nhi..sahi galat kuch theek se nhi pta tha tab tak..vese hamesha herione banti rehti hun ghar mein sabse badi hun na..or kehte hai jitne bhi log ghar mein bade hote hain unke pass extra dimaag hamesha hi hota hai..but mere saath to hamesha hi kuch alag hota hai to is case mein bhi ulta hi tha..
team mein logo se baat ki sabne apne apne according answer de diya tha..or mein vahin thi..meri soch vahin ruk gayi thi..

seat par jakar beth gayi system unlock kiya or tabhi ek ping aa gaya mere pass
PH : whenever you get time do meet me...
me :okay...i can come right now also..
PH :okay then come
room mein enter kiya maine..shyad smile bhi nhi kiya tha..seedha yes sir....
PH:Sit
me:aapne kyu bulya
PH:seems to me that you are still not convinced
me:sab theek hai i am okay with everything
PH:no generally i am asking..as you were very quiet in the meeting
me:XYZ......ABC............etc...etc..pta nhi kya kya bola maine...shyad PH ne bhi nhi socha hoga ki itna bolti bhi hun mein...or kahin mujhe khud bhi nhi pta tha ki itna kuch mein bolne vaali thi
PH: decide and do tel me ur decisions..not only you but others also..convey this message to everyone.talk to ur parents,think over it and give me the final words
me: okay...but its again difficult ...bcos mujhe kuch pta hi nhi hai
PH:then trust us...trust what seniors are saying
Me:kuch nhi bola maine..shyad is baat ka jawab nhi tha mere pass
trust ek bahut badi cheez hoti hai aisa log kehte hai...or mera experience abhi tak kharab hi tha..ek baar phir try nhi karna chahti thi...to bas kuch nhi...bola ki theek hai will let u know..........

Few Nick Names - Part 1

zada time nhi huya tha abhi bhi Hyderabad mein par phir bhi kuch nick names to rakh hi diye the
aksar nick name tab dete hai jab aapko koi bahut acha lagta hai or pyar se hum use kuch alag se naam se bulate hai..par aisa hamesha ho jaruri to nhi ...mere according kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki hum kisi ko itna pasand karte hain ki usko koi or naam de hi nhi paate...chalo is par bhi kabhi aur discuss karenge ...
abhi to apne manager se hi start karte hain:


Mishro sir : kishmish(unka id hi kuch aisa tha is liye...n still he is kishmish for us...we still use this name:)..given by me,Mini,satawli and kuchhu :)..after all he was our reporting manager)

Sahoo sir : dsahoo(bcos of his id..but i think we never used it) &A.R rehman(still my sis use this name as this was given by her.. :D)

Kataria sir : nakata (unka to id hi yahi tha..again we never used it..:()

Vuppala sir : Shakespeare ( bcos of his excellent communication skills..this was given by tanchi)

Sannareddy sir: Mr.MSN(given by me...my 1st favourite person from the MSN team..)

Sundararajan sir: Network(aaj bhi yaad hain mujhe vo subnet mask calculations..given by me)

Hemanth sir : Mr.kewl(bcos he made me break my rules many time :)...no nothing like that it just bcos of his very cool attitude..this was given by all of us )

Rahul sir: Rahul sir/Rahul bhai..(given by every one in the team :)..he was my 2nd favourite person from the MSN team)

Kuchhu:puchhu(Mini used to tease her lot with this name..as this is kucchu's nick name too)
satawli:mona(her nick name ...sometime kucchu used to take this name)
Mini:tanchi(for everyone she was tanchi as bcos her id was like that)
gupta:bandar(heheh given by kuchhu :D)
Ahmed:maggi(again given by kuchhu :D)
sharma:hi pri(i think given by evryone:D)
sayon:violin (given by tanchi :D)

abhi list bahut lambi hai...aage complete karungi...kyu ki baad mein puri team ke hi naam rakh diye the...:):)

Friday, March 11, 2011

1st Party with Management - Part 4

ab phone ghar se aaya tha to phela question kya ho sakta tha..mujhe phele se hi pta tha :
Dad: or kahan ho?kya chal raha hai?
Me: haan abhi vo dinner kar ke bas i think jayenge...
Dad:achha achha ..haan kuch late ho rahe ho ...
Me :haan thoda to time lage ga hi :(
bhgvan kisi tarah baat ko theek kiya maine
Dad:okay carry on..or time se nikal lena..varana late ho jaoge..
Me:yeah yeah sure

Wel back to party
Sharma ke liye next question tha..
whom do like most among all the four girls?generally of course
hehee..sharma: kya?ahha..
okay chal bata de...generally
sharma:kafi analysis karte huye
i think kuchhu
hehheheh..my god..ahha ..kewl atleast usne sach to bola..:)
then suddenly..kya baat hai..
Ahmed:(iske liye bhi ek question kiya gaya...jo mujhe to pta nhi chala..par haan answer to pta chala
love story ke baarein mein sir ki gf or uski ek lambi si story...hehheh

arey stawali ka bengoli song to koi bhi nhi bhool sakta..hum logo ke group ki kokila..
ab tak hum sab bhi kuch shyad  bolne lage the..
or humne bhi reverse question karna shru kar hi diya tha..
we all: now you guys also have to tell ..whom do u like the most among all of us?
and no excuses pls
hehehehhe...and reply were really funny :
for hemant sir: satawli
for vuppala sir: Mini
for kataria sir: he and his wife himself :):)
ladko ke naam kisi ne liye the to mujhe theek se yaad nhi hai.. ;)
for sahoo sir : me (mujhe pareshan karne ke liye mera hi naam le liya tha.bcos ye reverse round maine hi shru hi kiya tha ...hehheh..)

itni saari baatein karte huye.kuch time ka pta hi nhi chala or 12:00 baj gaye ..
chalo fianlly vapas jaane ka time aa hi gaya tha..
finally mujhe laga chalo.zada late nhi honge..bcos pg pass mein hi tha
aisa nhi tha ki mujhe accha nhi lag raha tha party mein bas ..shyad pheli baar...itna late tak ghar se bahar thi or upar se ye party kuch alag sa kuch ajeeb sa mind set tha kuch alag si feelings thi..jise khud mere liye bhi describe karna mushkil hai...
but still in short if i'll say the party was good and we all had a great time :):)

Friday, March 4, 2011

1st Party with Management - Part 3

Sahoo sir: okay lets play some games
just for time pass..in a good humour...just for fun..i mean nothing serious bas or ek question -answer round shru ho gaya..
me:games???
Sahoo sir:hmm ..okay lets start with you ?tum log to kuch bol nhi rahein ho..
to mein hi question karta hun
Me:why always me??
Sahoo sir/Kataria sir:hamesha tum se hi start hota hai game.sad..its okay..ek baar or..
Me:(sadly..)no pls..
Sahoo sir: okay tell me two good things about hyderabad?and two bad things which you have observed till now..
Me:abhi to time hi kitna huya hai..or mein to kisi ko bhi nhi jaanti yahan par..
Sahoo sir:aapko kuch abhi tak iska matlab kuch bhi achha nhi laga
Me:hmm..nhi aisa to nhi hai
good things:
weather achha hai
and ppl are good
Sahoo sir:ppl are good means?abhi to bola kisi ko nhi jaante
Me:matlab office ke log../pg ke log...i mean they are very good ..very helpful..
Sahoo sir:matlab jo log hyderabad mein bahar se aaye hain vo achhe hain yeah hyderabad ke log achhe hai
me: (in mind:hey bhgvan..ye kyu mere peeche pad gaye hai ..ab maine 10-15 din mein hyderabad par PHD to kar nhi li hai..na hi yahan ke logo par..uff..)same explain kya sabko.. :(
chalo mera turn khatam ho gaya tha..
Sahoo sir:kucchu whom do you think is the best looking person in the management team?
Kucchu: heheh..i think Hemanth sir
Others:ahaha..kya baat hai..sabke gale kharab hone lage the ab tak
Sahoo sir:Mini tel me some bad points about me?
Mini:i think you are very manipulative..
Others:kya?what?heheh
sab hasne lage...
Sahoo sir:so bad..itna bura hun mein ..ye to aaj tak mujhe kisi ne nhi bola..hehhe..even he also smiled
Sahoo sir: shweta aap mujhe abhi bhi dekh rahe ho..ab mujhe dar lagne laga hai..ek bol rahi hai mein manipulative hai..ek tab se dekhe ja rahi hai..ab mujhe bach kar rehna hoga..
kataria sir:smjh lo ab ..koi ab tak bol nhi raha tha..dekh ab sun le..
Kataria sir:gupta ye bata ki in sab mein se kaun si ladki sahi hai tere according?
me:hey bhgvan ab ye kya shru ho gaya..chalo sunte hain..heheh
usi waqt time par nazar gayi..kya 10 baj gaye the..ufff
hum vapas kab jayenge..abhi tak to dinner shru bhi nhi kiya tha...
gupta:hmm..for me..shweta college mein class mein saath thi...or Mini bhi mere hi college ki hai.to definetly..ye zada frnds hai..or satawali or kuchhu se abhi itni baat nhi hui hai...
eheh.....tabhi ek insaan ne aakar bola sir can we start with the dinner
kataria/sahoo sir:kab tak open raehga..or usne bola..11-11:30 tak sir
sahoo sir:okay..thanks..you can start..

well tabhi mein uthi apni jagah se..tab se sun rahi thi logo ko..abhi bhi aapne aap ko vahan adjust karne ki koshis kar rahi thi
watch mein time dekh dekh kar khud ko smjha rahi thi its okay...sabko pta hi hai abhi bhi time hai..or 11 tak to bola hi tha papa ko..hhehe..tabhi
sahoo sir:satwali tum or shweta kahan ja rahe ho?
we both:we are coming in a mintue...
or phir sabhi uth gaye..dinner ke liye..and finally we started with the last thing..:D

or tabhi ghar se phone....tring tring.....?????????........................................

Ist Party with Management - Part 2

wel wel sabne aapni aapni jagah li
Sannareddy sir,Sahoo sir,Kataria sir,Hemanth sir,Vuppala sir,Sundararajan sir and ofcourse hum 9 log toh the hi..:):)
us din kuch baarish ho gayi thi hum logo ke aane se phele to weather bahut achha ho gaya tha.
mein bhi chup chap beth gayi ek corner mein..kaafi nervous thi or kahin kaafi chup bhi thi
barbeque or kuch normal baaton se start kiya hum sabne..
well Sannareddy sir,me and kucchu ek team mein the as we were veggies
Satawli was sitting with the guys as she was non veggi...
Mini was sitting next to me:she was new Non -Veggie..heheheh
2 tables par achhi si setting si ho gayi thi..
Bahut saari baatein hone lagi thi..like kaisa lag raha hai project?,hyderabad?,yahan ke log?..etc etc
After some time:
Sahoo sir: u guys are so boring
Hemanth sir:(i muss say one of the coolest manager)yeah right!!!
Sahoo sir: last batch was so smart,so good..they even did not gave us any chance to speak..
Vuppala sir:correct!!..guys speak...say something..why you all are so quiet??
we all:no nothing like that..
Mini :actually we all are eating ..ab kya bole..hehhe
Sahoo sir:hmmm..ye kya hai mein kab se bole ja raha hun..ek min ke liye bhi chup nhi huya tab se
Mini :hum bhi to bol rahein hain..
Sahoo sir: (to me)aap itna chup kyu ho?or mujhe ye darane ki koshish mat karo pls
Me:nhi to..
Sahoo sir:are u okay?
Me:yeah..sahi hun..
Mini:kya huya?kuch theek nhi lag raha hai?
Me :arey nhi nhi sab theek hai..i am fine
me:(in mind)ab entertainment ke liye kya kar sakte hain??uff..abhi tak mein logo ko dekh hi rahi thi..sun rahi thi chup chap jo kuch bhi bola ja raha tha...
mini i think hum mein se sabse zada bol chuki thi ..:)
or in sabke beech...
Vuppala sir :unki coke an ice!!..hehehhe...ab tak kitne glass ho chuke the unke..i guess mujhe kya kisi ko bhi nhi pta the...hehhe

sab koshis kar rahe the ki hum kuch na kuch bole or hum sab the ki..heheh kuch bol hi nhi rahe the or agar kuch bol bhi rahe the...to ye kafi nhi tha in sabke liye

or tabhi ultimate Boss ko ek idea mil gaya...........

1st party with Management - Part 1

Well ab roz office jana or MSN ke alarms,Tickets,TSG's,Hi Pri,Inbox,IMC..in sab se milna ikna khayal rakhna bas kuch aisa hi ho gaya tha..
shayad 10 din ho gaye the..or in 10 dino mein pta nhi kitna pareshan kar rakha tha office mein logo ko...

sush mam,sikop,paraka,sagbab,rasul sir,nidhya,rovaru..hehehe kaun nhi tha jisko pareshan nhi kiya tha kuchhu or maine ab tak....koi bhi issue kyu na ho..hum chote bachhe the puri team mein or kabhi lead ko ye feel karne hi nhi diya ki kuch seekh bhi rahein hain...heheeh..atleast meri shakal dekh kar unhe yaakeen tha..ise to abhi tak kuch smjh nhi aaya hai paaka se.

in dus dino mein bahut saare log expert ban gaye the:
kuchhu - MTC /non  -wo expert
Mini - whiteborads/routing experts
satawali -MTC/Non -wo/routing expert
gupta -routing expert
kumar/giri-ab tak dusra project join kar chuke the
ahmed -MTC/Routing expert
sharma -Inbox expert
Me- heheh na hi likhun to achha hai..mujhe kya aaya tha ye to mujhe bhi nhi pta tha..abhi tak confuse hi thi apne aap mein

or isi waqt mangement ne ek get together rakh diya..our 1st Pary with Management
hame ye bhi nhi pta tha ki ye party kis liye hai..mein bhi yahi soch rahi thi ye party?kis liye
us din office tha mera or kuchhu ka..bas half day liya or 7 baje nikal liye office se...
ghar par phone kiya :::
Me::party mein ja rahein hain
Dad: sabhi ja rahein hai kya?
me:haan sabko jaana ha
Dad:ye party kis liye?
me::pta nhi...aise hi get together hain..shyad
Dad::kab jana hai?
me:8oclk ki hain
Dad: or vapas?
me::i think 11 tak aa hi jayenge..i mean or karna kya hai vahan par..dinner karenge or bas vapas
Dad::okay..but itna late vapas kasie aayoge??
me::hmm..itna door nhi hai shayad ye jagah to auto mil jayega sab bol rahein hain..ye cab..pta nhi sab bol rahein hain ho jayega manage
Dad:okay okay..theek hai

mujhe pta tha unhe tension ho rahi thi..or unse zada mujhe..heheh..or ye baat kisi ko bhi nhi pta thi us waqt
PG jakar dekha are ye kya satawali or Mini abhi tak ready hi nhi huye the..heheh
Mini abhi bhi dress try kar rahi thi ye theek hai ya ye theek hai..
satwali appne make up mein busy thi..Mini ne uske hairs ke saath pta nhi kya experiment kiya tha ..strait kar diye the uske saare curls..heheh
but phir bhi vo sabse phele ready ho gayi thi..hamesh ki tarah
mein or kuchhu bechhare jo abhi enter hi huye the..itna time nhi tha ki kuch soche...
Kuchu phele hi decide kar chuki thi kya dress up hoga uska..or
 
me: almirah kholi,kuch nhi ek pink top ,blue denims..bas ho gaya kaam..chalo me ready guys.
phone kiya kya ladko ko..kaya kar rahein hain vo sab
others:vo abhi ready nhi hiuye hain..
me :kya?..ladke kab se itna time lene lage..
phone kiya maine un logo ko
gupta:nhi yaar abhi nhi..still checking for the dresses
me:kya ..bhgvan is mein itna kya sochna hai..ek shirt or ek jeans bas ho gaye ready
kumar:(phone lekar)paagle aise hi aa jaye kya..tu ready ho gayi hai kya
me:or kya..karna hi kya tha.uff tum log kab chaloge or kab hum vahan jayenge..or kab vapas aayenge
kumar:tujhe vapas aane ki kya zaldi hai...aa rahein tension mat le
me:okies..we all are ready
me:gals ready ??ya abhi bhi kuch bachha hai..mein theek lag rahi hun na?..zada paagle to nhi??...
others:madam u r looking good..no problem
me:nhi bhi theek lag rahi to ab mein kuch nhi kar sakti..thats it..i'll not change anything..i dont have new dress..:(
others:chup karo..(Mini)ye batao kajal sahi hai
me:sahi hai yaar looking good..:)
heheh or kuch aise karte karte around 8:45 or 9:00 pahuch hi gaye hum sab..
sab late the..hum sab...
dekha to saamne sabhi wait kar rahe the table par..
hum sab kahin na kahin bahut consious ho rahei the..
or mein pta nhi kyu nervous ho rahi thi..ye koi nhi janta..koi bhi nhi mere alawa..
sabhi ne smile karte huye welcome kiya..hum sab bhi muskara hi rahe the...
even i also smiled and said hi to everybody..............