Monday, November 24, 2008

Kyu,aaj bhi nhi bhuli vo shaam??




Us shaam,
ek dusre ke saath the,
baatein kar rahe the,
kuch nayi,kuch purani,
kuch apni,kuch begani,
koi sawal apne se us ehsaas par nhi tha,
umeed bhi ek dusre se koi nhi thi,
tamanna kuch pane ki bhi nhi thi,
khamoshi ne sab jawab de diye the,
anjaan aane vaale un palo se bhi nhi the,
jiska dar na jane kab se tha
phir bhi bahut kuch tha
jo dil mein tha,
jo kahin khamosh tha
jo hum bol nhi rahe the,
jo kahin kahtam ho raha tha
jo hum rok nhi skate the,
jo jawab to nhi chhahta tha phir bhi,
jo kahin sawal kar raha tha
jo jeena chhahta tha

sach aur,
vo dar jeet hi gaya
vo pal chale hi gaye
aur hum alag bhi ho hi gaye
sach kahun toh aaj
vo khamoshi ,vo sawal,
vo chhaht,vo ehsaas
vo khayal,
vo har baat nhi hai
vo sab kuch nhi hai
aur ho bhi nhi sakta
mein hamesha sab kuch bulne ka dava jo karti hun
yahan tak ki aaj kahin lagta hai
ki shayad tujhe bhi......
jab mein sab kuch bhul gayi hun
aur jab ab sab kuch chala bhi gaya hai
toh phir kyu??kyu mein??
kyu,aaj bhi nhi bhuli vo shaam??


(is kavita par toh ek sher mein hi likhna chhahti hun "Mohabbat ke saare bandhan tode hen jab se mein ne,ye zindagi meri asaan ho gayi hai,saanso mein bas gayi hai yun bewafai uski ya shayad apni hi,jese zindagi par ehsaan ho gayi hai")

Saturday, November 22, 2008

Yun he

Kab se kagaz kora pada hai
Kab se shabdo ko sajane ki koshish chal rahi hai
Lagta hai aaj jaise kuch hai hi nhi
Par zidi to kam mein bhi nhi
Dosti ki hai,nibhani to padegi
Kalam or kagaz ki mulakaat karani to padegi
Lo ab jab kuch nhi mil raha hai
bas yun he kuch bhi likhti ja rahi hun


Aaj to aiyeena bhi naraz nhi
Aur man bhi saath nhi
Haan aaj raat
Chand ki roshni bhi achhi si lag rahi hai
theek hi kehte hai sab
Tofaano se
Koi zid aur shart nhi hoti
Usmein koi Jeet aur haar nhi hoti
Hausla umeedo se hota hai
Aur aitebaar khud par
Sach hi hai Uske ke thamne par
Haar ho ya jeet,jindagi
bas yun he ek naya sabak de jaati hai


Insaan bahut ajeeb hai
Aur mein bhi
Khush halchalo se bhi nhi
Or sawal thami hui har baat se bhi hai
sach bachpana mera abhi gaya nhi,nhi to
Bas yun he ek nayi kavita puri nhi ho jaati
(hmm..children's day par kafi khush thi..kuch smjh nhi aa raha tha kya likhun par phir bhi ek zid thi toh..bas yun he likh diya)

Sunday, November 9, 2008

kaun kehta hai ???



kaun kehta hai??
mujhe kuch likhna nhi aata
kaun kehta hai??
mein achha nhi likhti
kaun kehta hai??
mere khamosh shabd bolte nhi
kaun kehta hai??
mera dhula sa aks mela nhi
kaun kehta hai??
mujhe sach bolne ki jarurat nhi
kaun kehta hai??
mere aur aapke beech koi rishta nhi
kaun kehta hai???
kaun kehta hai???
mujhe apni aehmiyat jatani nhi aati
mujhe apni tareef karni nhi aati
mujhe apni udan bhrani nhi aati
kaun kehta hai???
kaun kehta hai???
mujhe apne dil ki baat batani nhi aati
(sach kaun kehta hai ye sab..aaj mein us se milna chhahti hun,baat karna chhahti hun...kaun hai vo jo in sab par aaj bhi itna yakeen karta hai...jo mujhe se zada mujhe pehchanee ka dava karta hai...mein to nhi karti)