Friday, December 12, 2008

ღღღ....

yakeen hai mujhe
dil ka aiyeena jhoota nhi hai
kya hua??
agar koi mere aas pass bhi hai
bas ek naya chehra hi to hai
jab ise jaan ne ki,pehchhan ne ki koi shart nhi hai
to phir??itni halchal man mein kyu hai??
ღღღ..........................................................
janti hun
vo ajnabi bhi nhi hai
kya hua??
agar vo pal pal badal raha hai
aur mein pal pal ulajh rahi hun
jab baat haar ya jeet ki nhi hai
to phir??ye behaal si haalat kyu hai??
ღღღ...........................................................
mana yaad mujhe
uski har mulakaat hai
kya hua??
agar kahin mein khush bhi hun
itna kuch soch bhi rahi hun
jab ye sab kuch khass nhi hai
to phir??ye itni kashish kyu hai??
ღღღ.........................................................
jab shruaat kisi ne ki hi nhi hai
to mein khatam kaise sab kuch kar dun
kya hua??
agar kisi ne kuch kaha nhi
jab hum in baaton se anjaan nhi hai
to phir??ye bekaar ki nazakat kyu hai??
ღღღ..............................................................
ho sakta hai
sach kuch aur hi ho
aur ye mera ek sapna hi ho
kya hua??
agar mein neend se jaagna nhi chhahti
bharm aur sach ke beech
tujhe aur khud ko door dekhna nhi chhahti
jab kahin tujh mein kho nhi rahi hun
to phir??ye ajeeb sa ehsaas kyu hai??
(ahh!!thoda sa ..i swear bas thoda sa romantic hone ki koshish ki hai maine zada to ho hi nhi sakti..i kno vese is kaam mein kafi bekaar hun but phir bhi try kiya hai...plz spare me for dis)

Monday, December 8, 2008

Khamosh khaalipan

Soiee si raat hai
har jagah sanata bhi hai.
theek se kuch dikh nhi raha,
bas kuch roshni taaro se hai.
par mein,
kise dekh rahi hun??
kise sun rahi hun??
kis se baatein kar rahi hun??
ye kis ki aawaz hai??
ye kaun jawab de raha hai??
dheere dheere mera mizaz kyu badal raha hai??
man ke shor se,
ab koi shikva nhi
shikayat nhi
meri soch ka,
ab koi imtihaan nhi
Is khaalipan se
ab kahin bhi naraz nhi
lagta hai jese aaj hi theek se milli hun is se
iski gehrayi ko aaj hi smjha hai
iski ehmiyat ko aaj hi pehchana hai
iski sab kuch sanjo kar rakhne ki adat ko aaj hi mana hai
iski bahut kuch lene ki baat ko hi nhi
bahut kuch dene ke ehsaas ko bhi jaana hai
ise kuch khone ka dar nhi
bas bahut kuch pane ki chhah hai
ise nayi baat se koi jalan nhi
bas purana yaad rakhne ka shuak hai
ye kisi aur ki khushi se kyu gila kare??
jab khud ka udsaai se dostana hai
ye kisi aur ko kyu galat kahe??
jab khud ka ilzaamo se rishta purana hai
kya kahun aur??
kaise likhun iska fasana??
ki koi to iski tareef kar de
kisi aur ka to pta nhi,par
bas ab to iski nayi paribhasha se
khud ka parichay mujhe karvana hai
("Empty vessels make most noise" aisa hi kehte hai log aur mante bhi hai,kal tak mein bhi yahi sochti thi par aaj nhi kal raat mujhe ek nayi definition milli..is tarah badal jayega khalipan ka matalb socha nhi tha)

Monday, December 1, 2008

Aaj kaise bhi.....



kab se koshish kar rahi hun
kab se khud ko dhund rahi hun
na jane kab ??kaise ??kahan kho gayi hun
pheli bar dil aur dimaag saath hai
himaat bhi aaj hi ki hai maine
aaj kasie bhi
is jhoote nakab ko hatana hai
khud ko khud se milvana hai



itna aitebaar mujh par hi kyu
itne sawal mujh se hi kyu
koi aaj mujhe rok nhi sakta
sawal aaj kisi aur ki umeedo ka nhi
baat mere vazud ki hai
aaj kasie bhi
nayi subah ko hi nhi
apne ek naye aks ko bhi dhund kar lana hai

janti hun
swarthi ban rahi hun
bandhano ko tod rahi hun,par
kisi ko sawal jawab karne ka hak nhi
mein,kyu kisi ke baarein mein sochun
dar kis baat ka hai
aaj kasie bhi
sirf apni hi baat karni hai
kisi aur ka naam nhi
kahin se khud ki hi pehchhan ko lekar aana hai
(hmm wel ye sab kuch likha to abhi half n hr phele hai but i think lagta hai na jane kitne time phele likha hai ye sab ya kab se sawal hain man mein)