Wednesday, October 29, 2008

Phir aaj kuch......




sab kuch aakhon se dekha maine
har jagah jhil mil roshni ki kami nhi thi
par andhera mere ander kuch zada hi hai
mazburi usmein jeene ki na hoti toh
phir aaj kuch likhne na lagti...


sab kuch naya sa paya maine
har jagah sajawat ki kami na thi
par narazgi khud se kuch zada hi hai
takleef itni agar na hoti toh
phir aaj kuch likhne na lagti...


sab kuch rangeen sa hi mila mujhe
har jagah khushiyon ki kami nhi thi
par nami palkon mein kuch zada hi hai
gujarish uski assu bankar girne ki na hoti toh
phir aaj kuch likne na lagti...


ab tak sab kuch,
shabdo mein likne ki koshish ki maine
lagta hai jaise ek kavita bhi ban gayi hai
sab kuch likha hai
par kagaz khaali kuch zada hi hai
kahin kami si lagti hai,
ehsaas is adhure pan ka na hota toh
phir aaj kuch likhne na lagti...

(diwali se ek din phele lihka ye sab kuch
par kyu pta nhi,bas likha,shayad man kiya,
kuch socha,lekin kya??ye bhi nhi pta)

Tuesday, October 21, 2008

Raat abhi baaki hai



Meri soch ghari ho gayi hai
ya raat sach mein lambi ho gayi hai??
kal raat is sawal ne bahut pareshan kiya,
bahut socha,
bahut sawal kiye,
khud ko yakin ek baar phir dilaya,
par dimaag hai ki manna nhi chhahta.
aur dil ek baar phir jhoot bolna nhi chhahta.
sach kya hai??aur kya nhi??
kya chhahti hun??aur kya nhi??
mein kuch nhi janti.
phir shikaayt is baat se kyu hai ki
Raat abhi baaki hai...................
.............................................
Kyu mein ye sab bar bar sochti hun??
apne aap se ulajhti hun??
khud aitebar karti hun
aur phir us par hi sawal karti hun.
sukun kyu nhi hai mujhe??
kyu itni shikayat karti hun???
kyu itni naraz hoti hun???
jab kuch karne ki tamanna nhi hai
toh is besabri se subah ka intezaar kyu karti hun???
jab ye sab janti hun,toh ye manti kyu nhi ki
Raat abhi baaki hai..............................
........................................................

(apne b'day se ek din phele likha ye sab shayad..apni joining ko lekar kuch zada hi senti ho gayi thi,raat abhi baaki hai...ye yakin karna nhi chhahti.khud ko ek bar is baat ka ehsaas dilane ke liye likha ye sab)

Monday, October 20, 2008

Aiyeena



5 din phele socha phir ek baar
jab apne aap ko aiyeene mein dekha,
khud se bahut sawal bhi kiye,
sab kuch saaf nazar jo aa raha tha bahut dino ke baad.
jo mera nhi vo mujhe mil kasie sakta hai,
or jo mera hai vo mujhe se door ja kasie sakta hai,
bas ek baar phir is baat par yakin karne ko dil kiya,
Ek baar phir apne aap ko umeed bhi di bahut dino ke baad.
dekhna hai ab sach or jhoot ke aiyeene mein jeet kis ki hoti hai,
haarne ka dar nhi mujhe,
par us se phele jine ka junoon hai,
shart ek bar apne aap se phir lagayi hai bahut dino ke baad.

(likhna to aiyeena ka introduction tha..pta nhi ye kaise likh diya..ye sab kuch tha to kahin par is tarah se kuch likh dungi ye socha nhi tha..yakin nhi hota mujhe ye sab kuch 15 min mein likha tha..bahut hi common sa thought hai shayad isliye..5 din phele jo sawal khud se kiye the shayad usne help kar di thi)