Saturday, September 5, 2009

kuch naya sa????

baat kisi nayi jagah ki,logo ki,soch ki nhi hai....par phir bhi kuch naya to hai..ye nhi pta kya par kuch to hai.


mein kitni bhi koshish kar lun par ye kehna mushkil hai ki aisa nhi hai..kafi soch rahi hun par smjh bhi nhi aa raha hai.ajeeb se saval hain???agar aaj mein kahin hun to kyu hun agar nhi hun to kyu nhi hun..ye hai to ye kyu nhi hai???pta nhi kya chal raha hai????


sach kahin ye bhi hai ki kuch bhi ek bar phir mere haath mein hai..bas jo ho raha hai mein use dekh rahi hun..kuch hai jo chalta ja raha hai bas...sabse badi baat ye hai ki ye sab bahut important bhi hai par phir bhi sab kuch khud ho raha hai aur mein use hone bhi de rahi hun..kahin saval karne ki koshish karti bhi hun phir khud hi rehne bhi deti hun





pta nhi kyu par sb kuch naya to hai

Wednesday, June 3, 2009

Yakeen...(us lamhe par..)

Yakeen...(us lamhe par..)hai
jis ki koi bhi taal alag nhi hai
jis mein apni hi awaz ka dar nhi hai
jis mein khamosh adhure shabdo ka kuch matlab hai
jis mein ek nayi goonj hai, ek naya sa geet hai
jiska arth kuch alag sa hi hai


Yakeen...(us lamhe par..)hai
jis mein koi purani pehchaan saath nhi hai
jis mein mitne ki bhi aehmiyat hai
jis mein kuch naye lamhe judne ki khushi hai
jis mein Achhe aur bure ke beech ki dewaar ka ehsaas nhi hai
jis mein har lamha ek naya chehra to hai,par
jis ke rang badlne par bhi aitbaar kam nhi hai

jis ki smjh hi kuch ajab si hai


yakeen ...(us lamhe par...) itna hai
ki vo kabhi to aaye ga aur jab bhi aaye ga hamesha ke liye
yahin reh jayeinge

meri har baat ko galat saabit kar
ek nayi roshni de jayega

(bas yuhin hi yakeen karne ko dil chahta hai to bas yakeen kar rahi hun..haan mazburi bhi hai is waqt par yakeen hai mujhe us pal par....kabhi to ye meri khushi ban jayega)

Friday, May 22, 2009

Hiiiii...

Hii...mein xyz..lo ho gayi kisi ki entry...


hm..mujhe hindi ki ek story yaad aa rahi hai pta nhi kaun si class mein padhi thi..train mein travel karte waqt agar koi naya yaatri enrty karta hai to hum shruaat mein kitna drama karte hai use bilkul pasand nhi karte aur phir kuch der mein sab theek ho jaata hai.uske saath baatein karne lagtein hain..aisi hi kuch story thi..


exactly yaad nhi...


bas vasie hi ho jaati hai kisi ki enrty hamari lyf mein bhi.


ek simple "HI "aur bas...kitna bhi kar lo,kuch bhi bol lo..aap kuch nhi kar sakte..saamne vaala to entry lekar hi rahega..kitna assan hota hai kisi ka aana aur kitna mushkil hota hai uska chale jaana(i mean aapke liye..vo to kabhi bhi ja sakta hai uski marzi hai)...i know thoda hurting toh hai par sach to yahi hai...



vese to kahan jata hai log aapki marzi se nhi aate par kaun aapke saath rehega ispar to aapki hi marzi chalti hai...par aisa lagta to nhi mujhe...



unka kya jinhe aap ne kabhi nhi chaha ki vo aapki zindagi mein aaye par vo aa gaye


unka kya jo aapni marzi se chale bhi gaye par aapke liye kabhi gaye hi nhi...aap ne unhe kabhi khud apne saath nhi rakha par kya kare agar vo aap se alag huye hi nhi????



(wel frndship to bahut logo si huyi meri aur reason's bhi alag hi rahe par ek dosti isliye huyi kyuki uske according mein use kabhi "hi" nhi karti thi...ek din usne ye sawal kar diya aur bas phir time ke saath achhe dost ban gaye...ek "hi" bas vese socha nhi tha)

Sunday, April 5, 2009

Ek Dhokha

Band ho jati hai jab awaz
Band ho jati hai jab dhadkan
Band ho jati hai chalti hawa
Kho jati hai kahin zindagi...par agar hum bahut kuch bole bhi aur awaz na ho to,Zinda ho par ehsaas na ho..tab zindagi tham jati hai..pta nhi thami hui zindagi se shikayt karni chhahiye ya nhi..

ye to vahi baat hui andhere kamre mein kuch dekhne ki koshish kar rahein hai..aur kuch der mein sab kuch pehchane bhi lagte hai kyuki pta hai ki vo chair kahan hai, table kahan hai, wall clock kahan par hai...kuch der mein lagta hai ki sab kuch theek se dikh to nhi raha par haan hai to hamare pass hi...

ajeeb si baat hai hum kuch bhul jane ki baaat karte hai..koshish karte hain..yakeen dilatein hai khud ko lekin jaise hi aage kadam chalne lagte hain kahin phir pechhe kuch dikhayi dene lagta hai aur ehsaas hota hai ki vo kuch jana pehchana hi to hai....aur us waqt ehsaas hota hai bahut bade EK DHOKHE KA

Saturday, March 28, 2009

kitni Mohabbat hai

Kuchh Lamho Ki Jindagi Baki Thi,
mein Tujh mein Saanse Chhod Aayi,
Behra Na Ker Daale Tujhe,
Khamosh Sannato Ka Shor Kahin,
Maun Shabdo Se Kehti Kuchh,
mein Gumsum Baatein Chhod Aayi..............
hmmm....maine bahut kuch suna hai..haan yahi 7 stages of love ke baarein mein ..pta nhi kinte saare naam diye gaye hain par ek hi matlab hai sabhi ka...pyar,ishq..etc etc..aur in shabdo ke beech kuch ajeeb si baatein..."ek dil ke badle saari duniya bas itni mohabbat hai....ya "ek pal ke liye saari duniya..bas itni mohabbat hai"...par sawal ye hai ki akhir "kitni mohabbat hai?????"





sabse intrstng baat ye hai ki ye jawab bhi hai aur sawal bhi..kabhi kabhi mujhe ye saari baatein bilkul bekaar lagti hain ye bhi koi baat hai..jinka practical zindagi se koi link hi nhi hai..bas useless words jo kuch poet's likh dete hai...kuch ehsaas ko shabdo mein bandh dete hai..par sach to nhi hota ye sab..i know bahut saare log bolenge ki mein paagle hun..kyu nhi hoti aaj bhi hota hai..but kasie...???aaj imp ye nhi hai ki rlnshp sach hai ya nhi imp ye hai ki vo hona chahiye..par phir bhi kahin aaj bhi kuch log is paaglpan mein yakin rakhte hain..vese secret hai ab haan mein bhi yakin karti hun par itna bhi nhi plzz. wel lagta hai aaj mein shikayat karne ke mood mein hun tabhi ye sab likhti ja rahi hun..nhi to ye sab baatein kaun hai jo nhi janta..phir inke baarein mein baat karne ka kya matlab hai...?





mujhe lagta hai kuch bhi nhi...bas khud se hi sawal kar rahi hun..arey kuch naya nhi hai..roz ek stupid sa sawal karti hun so aaj ye achhanak se..thodi paagle jo hun..wel jo bhi ho sawal ya jawab hmm..philhaal to ek hi line hai dimaag mein
" kitni mohabbat hai "

Saturday, March 7, 2009

Ek soch

hmm..
pta nhi kya soch rahi hun aaj
pta nhi kyu likh rahi hun aaj
pta nhi kya hai..par kuch to hai??...jo bhi ho itna janti hun ki kuch soch rahi hun..kitna ajeeb ho jata hai kabhi kabhi...aap achanak se har cheez se alag ho jatein hai..apki soch sab kuch badal deti hai..
pta nhi kaise
pta nhi kyu
pta nhi..aur agar zada waqt ho jaye to phir aap par kisi baat ka asar bhi nhi hota...bas aap is baat mein hi khushi dhund lete hai ki jo chal raha hai vo achha hai jo beet gaya vo bhi achha tha aur jo aane wala hai vo bhi achha hi hoga..kuch bhi to aapke haath mein nhi hai to phir..hmm lekin
pta nhi kyu ek soch hai jo aap se alag nhi hoti
pta nhi kyu vo bar bar aapko darati hai
pta nhi kyu aur kasie .....
pta nhi mein kya likhti ja rahi hun bas itna pta hai mujhe ki.....ye bas ek soch hai..bas ek soch
aur kuch nhi
kuch bhi nhi.........