Monday, January 10, 2011

Ek Narazgi......

Sahi karte hain ya galat pta nhi..Narazgi ka kya solution hota hai..galat bhi ho to kya phirk pdta hai jab kabhi kabhi hum har cheez ko sahi bana hi dete hain..
kuch baatein aisi kyu hoti hai jo honi hi hoti hai..hume pta hi nhi chalta or hum us jagah..par ja khade hote hain jahan kabhi socha bhi nhi hota...

sach azadi ka ek din..ek lamha bhi alag sa hi hota...hume kahin kuch galat kar dene ka dar to hota hai par na jane kahan se kuch karne ka hosla bhi aa jata hai..
bas ek anjan si awaz ki taraf chal dete hai..vo jo kahati hai hum karne lagte hain..kahin bar bar ye sawal khud se bhi karte hain..
arey kasie?
arey kyu?
ye to kar hi nhi sakte...par kuch pta nhi chalta..ajeeb si baat hai ..ye batana bhi muskil ho jata hai sahi kya hai galat kya hai..mujhe lagta hai shayd kuch galat nhi hota...
bas jab kuch vesa nhi chalta jaisa hum chahte hain to sab galat ho jata hai
or jab sab kuch vese hi chalta rehta hai jaisa ki hum chahte hain to sab sahi hi lagta hai..
is ajeeb si situation mein shikyat bhi nhi ki ja sakti kisi se...galti bhi khud ki hi hoti hai..takleef bhi khud ko hi sabse zada hoti hai...ek ajeeb si narazgi ho jati hai khud se
kya naam dun is narazgi ko jab kisi or ki galti ko bhi khud ki galti ka naam de diya ho.....or vo bhi isliye nhi...ki adat hai meri ye purani...sach to ye hai ki ek narazgi si hai khud se..or vo bhi itni ki ilzam lekar bhi kahin lagta hai ki abhi bhi kuch kami si hai...
bas intezaar hai ki koi ye keh de ki kuch nhi kiya tumne
ye to hona hi tha
galat na tum ho na saare sawal..bas muskura do kyu ki ye yehsaas itna khas jo hai
bas ek choti si baat.......
kuch khas nhi
bas ek narazgi.........