Soiee si raat hai
har jagah sanata bhi hai.
theek se kuch dikh nhi raha,
bas kuch roshni taaro se hai.
par mein,
kise dekh rahi hun??
kise sun rahi hun??
kis se baatein kar rahi hun??
ye kis ki aawaz hai??
ye kaun jawab de raha hai??
dheere dheere mera mizaz kyu badal raha hai??
man ke shor se,
ab koi shikva nhi
shikayat nhi
meri soch ka,
ab koi imtihaan nhi
Is khaalipan se
ab kahin bhi naraz nhi
lagta hai jese aaj hi theek se milli hun is se
iski gehrayi ko aaj hi smjha hai
iski ehmiyat ko aaj hi pehchana hai
iski sab kuch sanjo kar rakhne ki adat ko aaj hi mana hai
iski bahut kuch lene ki baat ko hi nhi
bahut kuch dene ke ehsaas ko bhi jaana hai
ise kuch khone ka dar nhi
bas bahut kuch pane ki chhah hai
ise nayi baat se koi jalan nhi
bas purana yaad rakhne ka shuak hai
ye kisi aur ki khushi se kyu gila kare??
jab khud ka udsaai se dostana hai
ye kisi aur ko kyu galat kahe??
jab khud ka ilzaamo se rishta purana hai
kya kahun aur??
kaise likhun iska fasana??
ki koi to iski tareef kar de
kisi aur ka to pta nhi,par
bas ab to iski nayi paribhasha se
khud ka parichay mujhe karvana hai
("Empty vessels make most noise" aisa hi kehte hai log aur mante bhi hai,kal tak mein bhi yahi sochti thi par aaj nhi kal raat mujhe ek nayi definition milli..is tarah badal jayega khalipan ka matalb socha nhi tha)
2 comments:
Hey shweta... u write beautiful...
It's so intense, so deep.. i have simply started loving it...
Carry on wid d same spirit...
A small advice from me is just change the background of your blog page..
It's difficult to read otherwise..
:)
hii..thnk u :)...i'll surely chnge the background
:):)
Post a Comment